“Teri Mitti”
Talvaron pe sar vaar diye
Angaaron mein jism jalayaa hai
Tab jaakee kahin humne sar pe
Yehh kesari rang sajaaya hai
Aye meri zameen afsoss nahi
Jo tere liye sau dard sahe
Mehfooz rahe teri aan sada
Chaahe jaan meri yeh rahe na rahee
Aye meri zameen mehboob meri
Meri nass nass mein tera ishq bahe
Pheeka na padee kabhi rang tera
Jismon se nikal ke khoon kahe
Teri mitti mein mill jawaan
Gul banke main khill jawaan
Itni si hai dil ki aarzooo
Teri nadiyon mein beh jawaan
Tere kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzoo
Wo oo…
Sarsoon se bhare khalihaan mere
Jahaan jhoom ke bhangra paa na saka
Aabad rahe woh gaaon mera
Jahaan laut ke wapas jaa na saka
Ho watna ve, mere watna ve
Tera mera pyar niralaa tha
Kurbaan hua teri asmat pe
Main kitna naseebon wala tha
Teri mitti mein mill jawaan
Gul banke main khill jawaan
Itni si hai dil ki aarzooo
Teri nadiyoon mein beh jawaan
Tere khetoon mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzooo
Kesari
O Heer meri tu hansti rahe
Teri aankh ghadi bhar nam na ho
Main marta tha jis mukhde pe
Kabhi uska ujaala kam na ho
O mayi meri kya fiqr tujhe
Kyun aankh se dariya behta hai
Tu kehti thi tera chaand hoon main
Aur chaand hamesha rehta hai
Teri mitti mein mill jawaan
Gul banke main khill jawaan
Itni si hai dil ki aarzooo
Teri nadiyoon mein beh jawaan
Teri fasloon mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzoo
Kesari