Tum the yahin
Phir bhi tum gum the
Aur main laapata
Ab jo mile ho toh phir
Saath hi mein reh jaao naa (x2)
Thode thode se pure
Aur thode adhure
Ye waade rahe kya pataa
Pure honge kayi khwab
Reh jaayenge kuch adhure
Abhi kya pataa?
Aa jaao naa…
Aa jaao naa…
Aa jaao itna bhi kya sochna
Aa jaao naa
Aa jaao naa
Aa jaao itna bhi kya sochna
Thoda sahi ik doosre mein
Aa reh le kahin
Aa jee bhi le
Kab? kyun? kahaan? kaise?
Soche nahin…
Aa chal wadon ke bhatke huye
Jugnu’’on ko dikha dein sahi rasta
Aa chal sote sitaron ko haule se
Sehla ke roshan karein asmaa
Aa jaao naa…
Aa jaao naa…
Aa jaao itna bhi kya sochna
Aa jaao naa
Aa jaao naa
Aa jaao itna bhi kya sochna…
Hahmmm…
Shamain kayi hongi thehri hui
Batein keyi hongi ruthi hui
Choti si zid hogi
Lambi si ratein
Phir bhi pyar reh jayega
Rehta hamesha toh kuch bhi nahi
Phir bhi na jane kyu mujhko yakeen
Sab beetne par bhi
Sab chhutne par bhi
Yeh pyaar reh jaayega
Tum the yahin
Phir bhi tum gum the
Aur main laapata
Ab jo mile ho toh phir
Saath hi mein reh jaao naa (x2)
Thode thode se pure
Aur thode adhure
Ye waade rahe kya pataa
Pure honge kayi khwaab
Reh jaayenge kuch adhure
Abhi kya pataa?
Aa jaao naa…
Aa jaao naa…
Aa jaao itna bhi kya sochna
Aa jaao naa
Aa jaao naa
Aa jaao itna bhi kya sochna
Aa jaao naa…
Aa jaao naa…
Aa jaao itna bhi kya sochna